Monday, February 15

mil gaye jo gale tum, kabhi yun hi ittefaqi...
koi jus-t-ju na hogi... koi aarzoo na baaki...
khwaabon ka silsila to wahin khatm hua samjho...
tu khawaab hai wahi jo hum paalein ihtiyaati...!!!

3 comments:

vndfunda said...

Nothing in this world can explain how I feel
I can't believe the love I have for you is oh so real
You are my pride and joy and I adore you so much
It's not just your personality it's also your gentle touch
Everything about you is just so wonderful
the time we spend together is just unbelievable
You are a part of me, and without you I'm no good
I will do any and everything to stay with you just like I know you would
The love of my life that I adore
Each day I see you I Love you More & More

vndfunda said...

Wo Larki Bhi Ek Ajeeb Paheli Thi
Piyase Hont The Ankh Samundar Jaisi Thi

Suraj Is Ko Dekh Ke Peela Parta Tha
Who Sarma Ki Dhoop Mai Dhul Kar Nikli Thi

Is Ko Apne Saaye Se Dar Lagta Tha
Suraj Ke Sehra Mai Who Tanha Hirnee Thi

Aatay Jaatay Mousam Iss Ko Daste The
Hanstay Hanstay Palkon Se Ro Parti Thi

Aadhi Raat Ginwa Deti Thi Chup Rah Kar
Aadhi Raat Ke Chaand Se Baatain Karti Thi

Door Se Ujray Mandar Jaisa Ghar Tha Uss Ka
Who Apney Ghar Mai Ikloti Devi Thi

Mom Se Nazuk Jism Sahar Ko Dukhta Tha
Diye Jala Kar Shab Bhar Aap Pighalti Thi

Taiz Hawa Ko Rok Ke Apnay Aanchal Par
Sookhay Phool Ikathaty Karti Phirti Thi

Sab Par Zahir Kar Deti Thi Bhed Apna
Sab Se Ek Tasweer Chupaye Rakhti Thi

Kal Shab Chikna Choor Hua tha Dil Uss Ka
Ya Phir Pahli Baar Wo Khul Kar Roi Thi

Mohsin Kia Jaanay Kyun Dhoop Se Be Parwa
Wo Apnay Ghar Ki Dahleez Par Baithi Thi..

vndfunda said...

Mai ne chand aur Sitaron ki tamanna ki thi
Mujh ko raton ki siyahi ke siwa kuch na mila
Mai wo nagma hon jise pyaar ki mahfil na mili
Wo musafir hon jise koi bhi manzil na mili
Zaqam paye hain baharon ki tamanna kit hi
Mai ne chand aur Sitaron ki tamanna ki thi
Kisi gaisu kisi anchal ka sahara hi nahi
Raste mai koi dhandla sa sitara hi nahi
Meri nazron ne nazaron ki tamanna ki thi
Mai ne chand aur Sitaron ki tamanna ki thi
Dil me nakam ummidon ke basere paye
Roushi lene ko nikla to andhere paye
Rang aur noor ke dharon ki tamanna ki thi
Mai ne chand aur Sitaron ki tamanna ki thi
Jo baat tujh me hai teri tasweer me nahi
Rangon me tera aks dhala na to dhal saki
Dilbar se pyaar ke shararon ki tamanna ki thi
Mai ne chand aur Sitaron ki tamanna ki thi
Duniya me koi cheez nahi hai teri tarah
Phir ek bar aaja samene mere kisi tarah
Apne sanam se mine bahanon ki tamanna ki thi
Mai ne chand aur Sitaron ki tamanna ki thi.