Wednesday, February 3

koi bhi khatm nahin dikhta iss daastaan ka...

ye kahani be sir pair badhti jayegi...
yun hi ulajh jayegi zindagi chamakte resham mein...
mujhko teri aadat agar parh jayegi...

yun misri ghol gaya.. meetha sa alfaaz tira...
aankhein band kar ke dil ne tira ehsaas liya...
zubaan pe khoon ag gaya toh mushkil aayegi...
mujhko teri aadat agar parh jayegi...

na lo imtihaan iss tarah meri tanhaayee ka...
sadaaon se bharo nahin sanam tum dil mera...
jo ho nahin sakta haqeekat, usse bhula do bas...
zamaane ko zara khushi mein maut aayegi...

tum aawaaz ho.. khayaal ho.. khoobsurat ho...
tum sapna ho, wo jo sach hua nahin karte...
main tumko soch ke har lamha muskura lungi...
choo liya agar, to rooh meri mar jayegi...

mujhko teri aadat agar parh jayegi...
ye kahani yun hi be sir pair badhti jayegi.........